Lock Down aur pradushan (Ek Sandesh)
Insaan ko samaj ayi hai prakriti ki kimat,
Jab insaan reh gaya hai ghar mein simat
hawa saaf hai, pradushan hua hai kam,
jab insaano ne liya hai ghar mein hi dum.
nirmal, saaf prakriti ke sath manushya ne khilwaad kiya h,
apne ghar ko saaf rakha aur vatavaran ko barbaad kiya hai,
is duniya par pakshiyo, jaanwaro ka bhi haq hai,
pata nahi manushya ko is baat par kyu shaq hai,
prakriti aur aas pass ka vatavaran ko saaf rakhna hamara farz hai,
isko hamesha nirmal aur saaf rakhne mein kya harz hai
ped, podhe aur jaanwar bhi dua denge
jab hum log gandagi aur pradushan kam krenge
aaj se sankalp lena hai ped lagayenge jyada se jyada
pradushan aur gandagi lrenge kam se kam, esi mein hai fayda hi fayda
shudh hawa, nirmal behta pani,
agar humne aaj iski kimat na jani,
pachtana padega baad mein,
ab bhi sambhal jao, jab tak baat hai haath mein
-kavi Andruni

Comments
Post a Comment