Posts

चुनावी माहौल पे कुछ पंक्तिया

आज नेताओ को देशवासियो की चिंता सतायी हैं , आज किसानो की गरीबी याद आयी हैं | आज नेताओ को नागरिको के दुःख दिख जायेंगे, आज ही देशवासियो की समस्या झूठे वादों से सुलझायेंगे |  आज नेता बच्चों की झूठी कसम भी खा जायेगा, सत्ता पाने के लिए दुश्मन भी दोस्त बन जायेगा |  आज देश के गरीबो का क़र्ज़ याद आया है , वादों से ही माफ़ हो जायेगा |  अगले चुनाव में यही मुद्दा आएगा , ओर जो किसान है , वो और क़र्ज़ में डूब जायेगा |  आज समझ आया है, फसल बर्बाद होने का दुःख और देशवासियो की लाचारी , आज समझ आयी है देश के लोगो की बेरोज़गारी , ऐसा लगता है जैसे है, जैसे आज ही आए है सारे रोग और सारी बीमारी |  आज देश के लिए कुछ भी कर जायेगा, आज एक नेता दूसरे पे इलज़ाम लगायेगा, एक दूसरे को बदनाम कर के सत्ता पाना चाहेगा, देश की बात कम , दुसरो की बुराई ज्यादा कर जायेगा , और ये देशवासी जैसा था वैसा ही रेह जायेगा ||  -- कवि अंदरूनी 

chunavi mahol pe kuch panktiya

aaj netao ko deshwasio ki chinta satayi h, aaj kisano ki garibi yaad ayi h, aaj neta ko nagriko k saare dukh dikh jayenge, aaj hi deshwasiyo ki samsaye jhoothe wado se suljhayenge, aaj to ye neta bacho ki jhothi kasam bhi kha jayega, satta pane k liye dushman bhi dost ban jayega aaj desh k garibo ka karza yaad aya h, waado se hi maaf ho jayega, baato hi baato mein aloo se sona bhi ban jayega agle chunao mein yahi mudda ayega. aur jo kisan h wo aur karz mein dub jayega. aj samajh aya h fasal barbad hone ka dukh aur deshwasiyo ki lachari, aaj samajh ayi h desh mein logo ki berozgari, aisa lagta h jaise aaj hi aye h sare rog aur sari bimari, aaj desh k liye kuch bhi kar jayenge. aaj ek neta dusre pe ilzam lagayega, ek dusre ko badnam kr k satta pana chaheya, desh ki baat kam dusro ki burai jyada kar jayega. aur ye deshwasi jaisa tha waisa hi reh jayega.

Aaj ka Ashiq part-2

Ye aaj ka majnu h galib, apne aap ko ashiq maan baitha h, jis se ghar ka ek kaam na hota tha, ye sab kuch kr jayega apne pyar mein, khud ko bhagwaan maan baitha h, ye ashiq h sahab duniya se lad jayega, ye khud ko super hero maan baitha h, subah shaam apni mehbooba ko le jaane aur laane k liye taiyar apne aap ko uska permanent driver maan baitha h, ek chik aa jaye apni mehbooba ko, sare kaade banane ko taiyar, ye ashik apne aap ko hakim maan baitha h. Ek hi insaan k itne kirdar h, ye apne aap ko filmo ka nayak maan baitha h Aaj ka majnu, apne aap ko ashiq maan baitha h, khud ko samajhdar aur jamane ko gawar man baitha h, -Kavi Andruni

Aaj ka Ashiq part-1

Aaj ka majnu, apne aap ko ashiq maan baitha h, khud ko samajhdar aur jamane ko gawar maan baitha h, thode din k ishq mein apni mehbooba ko jaan maan baitha,  jin maa baap ne zindagi bhar pala posa unko paraya maan baitha h.  ab na dost suhaate, aur na hi duniya, sabko dushman maan baitha h,  majnu apni laila ko sansar maan baitha h bs apni hi mehbooba hi yaad satati h,  thoda kuch ho jaye mehbooba ko, to fat se dauda chale jayega,  ye ashiq apne aap ko mehbooba ka baap maan baitha h Aaj ka majnu, apne aap ko ashiq maan baitha h, khud ko samajhdar aur jamane ko gawar man baitha h, -Kavi Andruni