chunavi mahol pe kuch panktiya

aaj netao ko deshwasio ki chinta satayi h,
aaj kisano ki garibi yaad ayi h,

aaj neta ko nagriko k saare dukh dikh jayenge,
aaj hi deshwasiyo ki samsaye jhoothe wado se suljhayenge,

aaj to ye neta bacho ki jhothi kasam bhi kha jayega,
satta pane k liye dushman bhi dost ban jayega


aaj desh k garibo ka karza yaad aya h,
waado se hi maaf ho jayega,
baato hi baato mein aloo se sona bhi ban jayega
agle chunao mein yahi mudda ayega.
aur jo kisan h wo aur karz mein dub jayega.


aj samajh aya h fasal barbad hone ka dukh aur deshwasiyo ki lachari,
aaj samajh ayi h desh mein logo ki berozgari,
aisa lagta h jaise aaj hi aye h sare rog aur sari bimari,


aaj desh k liye kuch bhi kar jayenge.
aaj ek neta dusre pe ilzam lagayega,
ek dusre ko badnam kr k satta pana chaheya,
desh ki baat kam dusro ki burai jyada kar jayega.
aur ye deshwasi jaisa tha waisa hi reh jayega.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

आज का आशिक़ (हिंदी कविता )

Aaj ka Ashiq

Lock Down aur pradushan (Ek Sandesh)