Aaj ka Ashiq part-1

Aaj ka majnu, apne aap ko ashiq maan baitha h,
khud ko samajhdar aur jamane ko gawar maan baitha h,
thode din k ishq mein apni mehbooba ko jaan maan baitha, 
jin maa baap ne zindagi bhar pala posa unko paraya maan baitha h. 

ab na dost suhaate, aur na hi duniya, sabko dushman maan baitha h, 
majnu apni laila ko sansar maan baitha h
bs apni hi mehbooba hi yaad satati h, 
thoda kuch ho jaye mehbooba ko, to fat se dauda chale jayega, 
ye ashiq apne aap ko mehbooba ka baap maan baitha h

Aaj ka majnu, apne aap ko ashiq maan baitha h,
khud ko samajhdar aur jamane ko gawar man baitha h,




-Kavi Andruni

Comments

Popular posts from this blog

आज का आशिक़ (हिंदी कविता )

Aaj ka Ashiq

Lock Down aur pradushan (Ek Sandesh)