Aaj ka Ashiq

Aaj ka majnu, apne aap ko ashiq maan baitha h,
khud ko samajhdar aur jamane ko gawar maan baitha h,
thode din k ishq mein apni mehbooba ko jaan maan baitha, 
jin maa baap ne zindagi bhar pala posa unko paraya maan baitha h. 

ab na dost suhaate, aur na hi duniya, sabko dushman maan baitha h, 
majnu apni laila ko sansar maan baitha h
bs apni hi mehbooba hi yaad satati h, 
thoda kuch ho jaye mehbooba ko, to fat se dauda chale jayega, 
ye ashiq apne aap ko mehbooba ka baap maan baitha h

Aaj ka majnu, apne aap ko ashiq maan baitha h,
khud ko samajhdar aur jamane ko gawar man baitha h,

Ye aaj ka majnu h galib, apne aap ko ashiq maan baitha h,
jis se ghar ka ek kaam na hota tha,
ye sab kuch kr jayega apne pyar mein,
khud ko bhagwaan maan baitha h,

ye ashiq h sahab duniya se lad jayega,
ye khud ko super hero maan baitha h,

subah shaam apni mehbooba ko le jaane aur laane k liye taiyar
apne aap ko uska permanent driver maan baitha h,

ek chik aa jaye apni mehbooba ko, sare kaade banane ko taiyar,
ye ashik apne aap ko hakim maan baitha h.


Ek hi insaan k itne kirdar h,
ye apne aap ko filmo ka nayak maan baitha h

Aaj ka majnu, apne aap ko ashiq maan baitha h,
khud ko samajhdar aur jamane ko gawar man baitha h,

-Kavi Andruni

Comments

Popular posts from this blog

आज का आशिक़ (हिंदी कविता )

Lock Down aur pradushan (Ek Sandesh)