Aaj ka berozgar

naukri ki talash mein khada ek berojgar h,
aas h, naukri ki talash h,
kamyab hone ka jazba h,'
aasman ko chunne ki chah h.
naukri ki talash mein hatash khada berojgar h.

mehnat krne ko taiyar h,
har nayi chiz ko sikhne ko taiyar.
jee jaan se mehnat kr, duniya ko pachadne ko taiyar h
naukri ki talash mein hatash khada berojgar h.

Apna parivar, bachpan k dost chodne ko taiyar.
Apne saare tyovahar, apno se dur banane banane ko taiyar
nakri ki talash mein apne ghar angan ko chodne ko taiyar h
naukri ki talash mein hatash khada berojgar h.

Bahan ki shadi ki chinta h,
maa baap ki dawai k kharch ki  chinta h,
Samaj k taane sehta, ghar ki ka kharcha uthane mein nakamayab h,
naukri ki talash mein hatash khada berojgar h.

do waqt khane ki talash h,
dusro ki taraf bebasi se dekhta aaj ka berozagar h
Josh ki kami nahi h, mauke ki talash h.
naukri ki talash mein hatash khada berojgar h.




Comments

Popular posts from this blog

आज का आशिक़ (हिंदी कविता )

Aaj ka Ashiq

Lock Down aur pradushan (Ek Sandesh)